Kuch kahna hain aapse
Shayari to ek bahana hain..
Saath tum hote ho to lagta
Har ek pal bahot suhana hain.. ☺.
Yun to tum hamare dil me hamesha hote ho
Lekin sham ko dil ko kuch jyada tadpate ho
Ji karta hain ki hamesha saath saath rahna ho
Lekin pata nahi kab majburiyan aur jimmedariyan puri ho..
Hamesha khush dekhana chahte hain tumhe
Iske liye jo bhi ban padta hain karte rahte hain
Agar galti se bhi kabhi dil dukhaya ho to bhul jana
Galti na ho isliye kabhi kabhi khamosh rahna hain..
Aapko itni khushi deni hai ki aap bhul na paoge
Koi aur kya , agar main bhi aapko gam de du to us din se hame aapse baat nahi karte huve paoge ..
Saza apne aap ko de sakte hai magar
Aapka dil dukhayenge nahi
Agar aap hamse naaraj rahna chahte hain
To ham aapko manayenge bhi nahi..
Basss aap hamesha khush rahna
Chahe hamse baat karke
Ya hame ignore karke..
Ham uff tak nahi karenge
Agar ek mulakaat ki bhi hame ijazat nahi ..
AtulB